shām-e-alam bhī guzrī pahlū badal badal kar
rotā rahā hai ye dil pahroñ machal machal kar
manzil kī justujū meñ pahuñche kahāñ kahāñ ham
dekhā kiye tamāsha raste badal badal kar
shahr-e-vafā meñ ham ne sab kuchh luTā diyā hai
ye baat un se kahnā logo sambhal sambhal kar
kyā zid kareñge tujh se ai gardish-e-zamāna
hañsnā bhī aa gayā hai ġham se bahal bahal kar
'gulnār' zabt-e-ġham kī ye intihā bhī dekhī
dāman bhigo rahe haiñ aañsū nikal nikal kar