vo aaj lauT bhī aa.e to is se kyā hogā
ab us nigāh kā patthar se sāmnā hogā
zamīñ ke zaḳhm samundar to bhar na pā.egā
ye kaam dīda-e-tar tujh ko sauñpnā hogā
hazār neze udhar aur maiñ idhar tanhā
mirī shikast kā unvāñ hī dūsrā hogā
jo tez dhuup meñ sāyoñ kī fasl bote haiñ
yahāñ kī aab o havā kā unheñ pata hogā
maiñ aur ek qadam us kī samt baḌh jaatā
pata na thā ki vo itnā gurez-pā hogā
mirā yaqīñ hai ki rāh-e-vafā meñ mere ba.ad
mirā safar tire qadmoñ ne tai kiyā hogā