kab paañv figār nahīñ hote kab sar meñ dhuul nahīñ hotī
tirī raah pe chalne vāloñ se lekin kabhī bhuul nahīñ hotī
sar-e-kūcha-e-ishq aa pahuñche ho lekin zarā dhyān rahe ki yahāñ
koī nekī kaam nahīñ aatī koī duā qubūl nahīñ hotī
har-chand andesha-e-jāñ hai bahut lekin is kār-e-mohabbat meñ
koī pal bekār nahīñ jaatā koī baat fuzūl nahīñ hotī
tire vasl kī aas badalte hue tire hijr kī aag meñ jalte hue
kab dil masrūf nahīñ rahtā kab jaañ mashġhūl nahīñ hotī
har rañg-e-junūñ bharne vaalo shab-bedārī karne vaalo
hai ishq vo mazdūrī jis meñ mehnat bhī vasūl nahīñ hotī