Jamal Ehsani

is samay koi nahin meri nigahbani par

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
is samay koī nahīñ merī nigahbānī par
ye ghaḌī saḳht kaḌī hai tire zindānī par
bā-ḳhabar kar ke rah-e-ishq kī mushkil se tujhe
faisla chhoḌ diyā hai tirī āsānī par
na havā aur na miTTī pe kabhī ho paayā
jo bharosā hai mujhe bahte hue paanī par
maiñ abhī pahle ḳhasāre se nahīñ niklā huuñ
phir bhī tayyār hai dil dūsrī nādānī par
kisī bhī vaqt badal saktā hai lamha koī
is qadar ḳhush bhī na ho merī pareshānī par
ḳhatm hone ko haiñ ashkoñ ke zaḳhīre bhī 'jamāl'
ro.e kab tak koī is shahr kī vīrānī par
Top Urdushayar.com