maiñ būñdā-bāndī ke darmiyān apne ghar kī chhat par khaḌā rahā huuñ
charāġh thā koī jis ke ham-rāh rāt-bhar bhīgtā rahā huuñ
ye ab khulā hai ki un meñ mere nasīb kī dūriyāñ chhupī thiiñ
maiñ us ke hāthoñ kī jin lakīroñ ko muddatoñ chūmtā rahā huuñ
maiñ sun chukā huuñ havāoñ aur bādaloñ meñ jo mashvare hue haiñ
jo bārisheñ ab ke hone vaalī haiñ un ke qisse sunā rahā huuñ
us ek vīrān peḌ par ab ka.ī parindoñ ke ghoñsle haiñ
jo pichhle mausam meñ likh gayā thā vo naam maiñ DhūñDtā rahā huuñ
safar kī lazzat se baḌh ke manzil kā qurb to mo'tabar nahīñ hai
vo mil gayā aur maiñ abhī tak galī galī ḳhaak uḌā rahā huuñ