qarār dil ko sadā jis ke naam se aayā
vo aayā bhī to kisī aur kaam se aayā
kisī ne pūchhā nahīñ lauTte hue mujh se
maiñ aaj kaise bhalā ghar meñ shaam se aayā
ham aise be-hunaroñ meñ hai jo salīqa-e-zīst
tire dayār meñ pal-bhar qayām se aayā
jo āsmāñ kī bulandī ko chhūne vaalā thā
vahī mināra zamīñ par dhaḌām se aayā
maiñ ḳhālī haath hī jā pahuñchā us kī mahfil meñ
mirā raqīb baḌe intizām se aayā