kahnī hai ek baat dil-e-shād-kām se
tañg aa gayā huuñ yaar mohabbat ke naam se
maiñ huuñ ki mujh ko dīda-e-bīnā kā rog hai
aur log haiñ ki kaam unheñ apne kaam se
ushshāq haiñ ki marne kī lazzat se haiñ niDhāl
shamshīr hai ki niklī nahīñ hai niyām se
jab us ne jā ke pahlu-e-gul meñ nashist kī
bād-e-sabā bichhaḌ ga.ī apne ḳhirām se
vahshat ik aur hai mujhe hijrat se bhī sivā
ham-ḳhāna mutma.in nahīñ mere qayām se