Jamal Ehsani

jamal ab to yahi rah gaya pata us ka

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
'jamāl' ab to yahī rah gayā pata us kā
bhalī sī shakl thī achchhā sā naam thā us kā
phir ek saaya dar-o-bām par utar aayā
dil-o-nigāh meñ phir zikr chhiḌ gayā us kā
kise ḳhabar thī ki ye din bhī dekhnā hogā
ab e'tibār bhī dil ko nahīñ rahā us kā
jo mere zikr par ab qahqahe lagātā hai
bichhaḌte vaqt koī haal dekhtā us kā
mujhe tabāh kiyā aur sab kī nazroñ meñ
vo be-qusūr rahā ye kamāl thā us kā
so kis se kījiye zikr-e-nazākat-e-ḳhad-o-ḳhāl
koī milā hī nahīñ sūrat-āshnā us kā
jo saaya saaya shab-o-roz mere saath rahā
galī galī meñ pata pūchhtā phirā us kā
'jamāl' us ne to Thānī thī umr-bhar ke liye
ye chaar roz meñ kyā haal ho gayā us kā
Top Urdushayar.com