Jamal Ehsani

kuza-e-duniya hai apne chaak se bichhDa hua

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
kūza-e-duniyā hai apne chaak se bichhḌā huā
aur us ke biich maiñ aflāk se bichhḌā huā
us jagah maiñ bhī bhaTaktā phir rahā huuñ aaj tak
jis jagah thā rāsta pechāk se bichhḌā huā
din guzarte jā rahe haiñ aur hujūm-e-ḳhush-gumāñ
muntazir baiThā hai aab o ḳhaak se bichhḌā huā
sub.h-dam dekhā to ḳhushkī par taḌaptā thā bahut
ek manzar dīda-e-namnāk se bichhḌā huā
is jahān-e-ḳhasta se koī tavaqqo hai abas
ye badan hai ruuh kī poshāk se bichhḌā huā
jab bhī taulā be-niyāzī kī tarāzū meñ use
vo bhī niklā zabt ke idrāk se bichhḌā huā
ik sitāra mujh se mil kar ro paḌā thā kal 'jamāl'
vo falak se aur maiñ thā ḳhaak se bichhḌā huā
Top Urdushayar.com