charāġh sāmne vaale makān meñ bhī na thā
ye sāneha mire vahm-o-gumān meñ bhī na thā
jo pahle roz se do āñganoñ meñ thā haa.il
vo fāsla to zamīn āsmān meñ bhī na thā
ye ġham nahīñ hai ki ham donoñ ek ho na sake
ye rañj hai ki koī darmiyān meñ bhī na thā
havā na jaane kahāñ le ga.ī vo tiir ki jo
nishāne par bhī na thā aur kamān meñ bhī na thā
'jamāl' pahlī shanāsā.ī kā vo ik lamha
use bhī yaad na thā mere dhyān meñ bhī na thā