Jamal Ehsani

na koi fal nikali na istiKhaara kiya

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
na koī faal nikālī na istiḳhāra kiyā
bas ek sub.h yūñhī ḳhalq se kināra kiyā
nikal paḌeñge gharoñ se tamām sayyāre
agar zamīn ne halkā sā ik ishāra kiyā
jo dil ke taaq meñ tū ne charāġh rakkhā thā
na pūchh maiñ ne use kis tarah sitāra kiyā
parā.ī aag ko ghar meñ uThā ke le aayā
ye kaam dil ne baġhair ujrat o ḳhasāra kiyā
ajab hai tū ki tujhe hijr bhī garāñ guzrā
aur ek ham ki tirā vasl bhī gavāra kiyā
hamesha haath rahā hai 'jamāl' āñkhoñ par
kabhī ḳhayāl kabhī ḳhvāb par guzāra kiyā
Top Urdushayar.com