umr guzrī jis kā rasta dekhte
aa bhī jaatā vo to ham kyā dekhte
kaise kaise moḌ aa.e raah meñ
saath chalte to tamāshā dekhte
qarya-qarya jitnā āvāra phire
ghar meñ rah lete to duniyā dekhte
gar bahā aate na dariyāoñ meñ ham
aaj un āñkhoñ se sahrā dekhte
ḳhud hī rakh aate diyā dīvār par
aur phir us kā bhaḌaknā dekhte
jab huī ta.amīr jism o jaañ to log
haath kā miTTī meñ khonā dekhte
do qadam chal aate us ke saath saath
jis musāfir ko akelā dekhte
e'tibār uTh jaatā aapas kā 'jamāl'
log agar us kā bichhaḌnā dekhte