sañg ko takiya banā ḳhvāb ko chādar kar ke
jis jagah thaktā huuñ paḌ rahtā huuñ bistar kar ke
ab kisī aañkh kā jaadū nahīñ chaltā mujh par
vo nazar bhuul ga.ī hai mujhe patthar kar ke
yaar logoñ ne bahut rañj diye the mujh ko
jā chukā hai jo hisāb apnā barābar kar ke
us ko bhī paḌ gayā ik aur zarūrī koī kaam
maiñ bhī ghar par na rahā vaqt muqarrar kar ke
pūchhnā chāhtā huuñ us nigah-o-dil se 'jamāl'
kis ko ābād kiyā hai mujhe be-ghar kar ke