vāqa.ī koī agar maujūd hai
phir to ye dukh umr-bhar maujūd hai
biich kā rasta nahīñ baaqī koī
yā ḳhudā hai yā bashar maujūd hai
us ko paane kī tavaqqo hai bahut
jab talak ye chashm-e-tar maujūd hai
us ke milne hī se pahle jaane kyuuñ
us ko kho dene kā Dar maujūd hai
koī manzil kaise tanhā sar kareñ
ham-safar meñ ham-safar maujūd hai
ādat-e-ḳhāna-ḳharābī hai 'jamāl'
varna achchhā-ḳhāsā ghar maujūd hai