ek qadam ḳhushkī par hai aur dūsrā paanī meñ
saarī umr basar kar dī hai naql-e-makānī meñ
aañsū bahte haiñ aur dil ye soch ke Dartā hai
aañkh kahīñ koī baat na kah de us se ravānī meñ
raah meñ saare charāġh usī ke dam se raushan haiñ
jo paimāñ havā se bāñdhā thā nādānī meñ
saare sāhil saare sāgar us kī haiñ mīrās
jis ke paañv zamīñ par Thahreñ bahte paanī meñ
do jīvan tārāj hue tab puurī huī baat
kaisā phuul khilā hai aur kaisī vīrānī meñ
jab use dekho aañkh aur dil ko saath milā lenā
ik ā.īna kam paḌ jā.egā hairānī meñ