kisī bhī dasht kisī bhī nagar chalā jaatā
maiñ apne saath hī rahtā jidhar chalā jaatā
vo jis muñDer pe chhoḌ aayā apnī āñkheñ maiñ
charāġh hotā to lau bhuul kar chalā jaatā
use bachā liyā āvargān-e-shām ne aaj
vagarna sub.h kā bhūlā to ghar chalā jaatā
mirā makāñ mirī ġhaflat se bach gayā varna
koī churā ke mire bām-o-dar chalā jaatā
agar maiñ khiḌkiyāñ darvāze band kar letā
to ghar kā bhed sar-e-rahguzar chalā jaatā
thakan bahut thī magar sāya-e-shajar meñ 'jamāl'
maiñ baiThtā to mirā ham-safar chalā jaatā