Jamal Ehsani

wo is jahan se hairan jaya karte hain

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
vo is jahān se hairān jaayā karte haiñ
jo apne aap ko pahchān jaayā karte haiñ
jo sirf ek Thikāne se tere vāqif haiñ
tirī galī meñ vo nādān jaayā karte haiñ
kisī ke hone na hone ke baare meñ aksar
akele-pan meñ baḌe dhyān jaayā karte haiñ
maiñ ab kabhī na dikhūñgā kisī ke marne se
ki shab guzār ke mehmān jaayā karte haiñ
jo asl baat hai us ko chhupāne kī ḳhātir
kabhī kabhī ġhalatī maan jaayā karte haiñ
ye baat aate hue sochtā nahīñ koī
ki sab yahāñ se pareshān jaayā karte haiñ
'jamāl' ham to tujhe ye bhī ab nahīñ kahte
kabhī kisī kā kahā maan jaayā karte haiñ
Top Urdushayar.com