jo bel mere qad se hai uupar lagī huī
afsos har bisāt se bāhar lagī huī
us kī tapish ne aur bhī sulgā rakhā hai kuchh
jo aag hai makān se bāhar lagī huī
sunte haiñ us ne DhūñDh liyā aur koī ghar
ab tak jo aañkh thī tire dar par lagī huī
pahchān kī nahīñ hai ye irfān kī hai baat
taḳhtī koī nahīñ mire ghar par lagī huī
ab ke bahār aane ke imkān haiñ ki hai
har pairahan pe chashm-e-rafū-gar lagī huī
is baar tuul khīñch ga.ī jañg agar to kyā
is baar shart bhī to hai baḌh kar lagī huī
manhūs ek shakl hai jis se nahīñ farār
parchhā.īñ kī tarah se barābar lagī huī
tere hī chaar samt nahīñ hai hisār-e-jabr
pābandī-e-jamāl hai sab par lagī huī