milnā nahīñ to yaad use karnā bhī chhoḌ de
dīvār chhoḌ dī hai to saaya bhī chhoḌ de
ik aadmī se tark-e-marāsim ke ba.ad ab
kyā us galī se koī guzarnā bhī chhoḌ de
aanā ab us ne chhoḌ diyā hai agar to kyā
dil be-sabab charāġh jalānā bhī chhoḌ de
mazbūt kashtiyoñ ko bachāne ke vāste
dariyā meñ ek naav shikasta bhī chhoḌ de
allāh kī zamīn baḌī hai bahut 'jamāl'
izzat nahīñ jahāñ vahāñ rahnā bhī chhoḌ de