vo log mere bahut pyaar karne vaale the
guzar ga.e haiñ jo mausam guzarne vaale the
na.ī rutoñ meñ dukhoñ ke bhī silsile haiñ na.e
vo zaḳhm taaza hue haiñ jo bharne vaale the
ye kis maqām pe sūjhī tujhe bichhaḌne kī
ki ab to jā ke kahīñ din sañvarne vaale the
hazār mujh se vo paimān-e-vasl kartā rahā
par us ke taur-tarīqe mukarne vaale the
tumheñ to faḳhr thā shīrāza-bandī-e-jāñ par
hamārā kyā hai ki ham to bikharne vaale the
tamām raat nahāyā thā shahr bārish meñ
vo rañg utar hī ga.e jo utarne vaale the
us ek chhoTe se qasbe pe rail Thahrī nahīñ
vahāñ bhī chand musāfir utarne vaale the