na sunñe meñ na kahīñ dekhne meñ aayā hai
jo hijr o vasl mire tajribe meñ aayā hai
na.e sire se jal uTThī hai phir purānī aag
ajiib lutf tujhe bhūlne meñ aayā hai
na haath mere na āñkheñ mirī na chehra mirā
ye kis kā aks mire aa.ine meñ aayā hai
javāz rakhtā hai har ek apne hone kā
yahāñ pe jo hai kisī silsile meñ aayā hai
hai vāqi.a hadaf-e-sail-e-āb thā koī aur
mirā makān to bas rāste meñ aayā hai
vo rāz-e-vasl thā jo niiñd meñ khulā mujh par
ye ḳhvāb-e-hijr hai jo jāgte meñ aayā hai
'jamāl' dekh ke jiitā thā jo kabhī tujh ko
kahīñ vo shaḳhs bhī kyā dekhne meñ aayā hai