chashm-e-hairāñ ko tamāshā-e-digar par rakkhā
aur is dil ko tirī ḳhair-ḳhabar par rakkhā
ain-mumkin hai charāġhoñ ko vo ḳhātir meñ na laa.e
ghar kā ghar ham ne uThā rāhguzar par rakkhā
bojh se jhukne lagī shāḳh to jā kar ham ne
āshiyāne ko kisī aur shajar par rakkhā
chaman-e-dahr meñ is tarah basar kī ham ne
sāya-e-gul kā bhī ehsān na sar par rakkhā
us kī āvāz pe bāhar nikal aayā huuñ 'jamāl'
saarā asbāb-e-safar rah gayā ghar par rakkhā