apne ham-rāh jalā rakkhā hai
tāq-e-dil par jo diyā rakkhā hai
jumbish-e-lab na sahī tere ḳhilāf
haath ko ham ne uThā rakkhā hai
tū mujhe chhoḌ ke jā saktā nahīñ
chhoḌ is baat meñ kyā rakkhā hai
vo milā degā hameñ bhī jis ne
aab aur gil ko milā rakkhā hai
mujh ko mālūm hai merī ḳhātir
kahīñ ik jaal bunā rakkhā hai
jāntā huuñ mire qissa-go ne
asl qisse ko chhupā rakkhā hai
āsmānoñ ne gavāhī ke liye
ik sitāre ko bachā rakkhā hai
kaam kuchh itne haiñ karne ko 'jamāl'
naam ko kal pe uThā rakkhā hai