Jamal Ehsani

har qarz-e-safar chuka diya hai

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
har qarz-e-safar chukā diyā hai
dasht aur nagar milā diyā hai
juz ishq kise milī ye taufīq
jo paayā use gañvā diyā hai
pahle hī bahut thā hijr kā rañj
ab fāsloñ ne baḌhā diyā hai
ābādiyoñ se ga.e ho.uuñ ko
sahrāoñ ne hausla diyā hai
dīvār-ba-dast rāh-rau the
kis ne kise rāsta diyā hai
bachhḌā to tasallī dī hai us ne
kis dhund meñ aa.ina diyā hai
maiñ bujh to gayā huuñ phir bhī mujh meñ
raushan tire naam kā diyā hai
Top Urdushayar.com