apnā jab bojh mirī jaan uThānā paḌ jaa.e
dūsroñ kā na kuchh ehsān uThānā paḌ jaa.e
is qadar aish-e-mohabbat pe na ho ḳhush ki tujhe
dūsre ishq meñ nuqsān uThānā paḌ jaa.e
is sarā.e meñ na phailā.iye ajzā-e-hayāt
jaane kis vaqt ye sāmān uThānā paḌ jaa.e
yuuñ na ho bol paḌūñ maiñ tirī ḳhāmoshī par
aur tujhe bazm se mehmān uThānā paḌ jaa.e
phir badal jaa.e na is va.ada-e-imroz se tū
aur hameñ dūsrā tūfān uThānā paḌ jaa.e
kyā tamāshā ho sar-e-kūcha-e-dildār agar
mere jaisā koī nādān uThānā paḌ jaa.e
maiñ to mar jā.ūñ usī vaqt agar mujh ko 'jamāl'
ishq se haath kisī aan uThānā paḌ jaa.e