sab badalte jā rahe haiñ sar-ba-sar apnī jagah
dasht ab apnī jagah baaqī na ghar apnī jagah
maiñ bhī nādim huuñ ki sab ke saath chal saktā nahīñ
aur sharminda haiñ mere ham-safar apnī jagah
kyuuñ simaTtī jā rahī haiñ ḳhud-ba-ḳhud ābādiyāñ
chhoḌte kyuuñ jā rahe haiñ bām-o-dar apnī jagah
jo kuchh in āñkhoñ ne dekhā hai maiñ us kā kyā karūñ
shahr meñ phailī huī jhūTī ḳhabar apnī jagah
maiñ 'jamāl' apnī jagah se is liye haTtā nahīñ
vo ghaḌī aa jaa.e shāyad lauT kar apnī jagah