ishq meñ ḳhud se mohabbat nahīñ kī jā saktī
par kisī ko ye nasīhat nahīñ kī jā saktī
kunjiyāñ ḳhāna-e-ham-sāya kī rakhte kyuuñ ho
apne jab ghar kī hifāzat nahīñ kī jā saktī
kuchh to mushkil hai bahut kār-e-mohabbat aur kuchh
yaar logoñ se mashaqqat nahīñ kī jā saktī
tā.ir-e-yād ko kam thā shajar-e-dil varna
be-sabab tark-e-sukūnat nahīñ kī jā saktī
ik safar meñ koī do baar nahīñ luT saktā
ab dobāra tirī chāhat nahīñ kī jā saktī
koī ho bhī to zarā chāhne vaalā terā
raah chaltoñ se raqābat nahīñ kī jā saktī
āsmāñ par bhī jahāñ log jhagaḌte hoñ 'jamāl'
us zamīñ ke liye hijrat nahīñ kī jā saktī