Jamal Ehsani

wo misl-e-aina diwar par rakkha hua tha

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
vo misl-e-ā.īna dīvār par rakkhā huā thā
jo ik in.aam merī haar par rakkhā huā thā
maiñ baa.eñ haath se dushman ke hamle roktā thā
ki dāyāñ haath to dastār par rakkhā huā thā
vahī to ek sahrā-āshnā thā qāfile meñ
vo jis ne aable ko ḳhaar par rakkhā huā thā
visāl o hijr ke phal dūsroñ ko us ne baḳhshe
mujhe to rone kī begār par rakkhā huā thā
musallam thī saḳhāvat jis kī duniyā bhar meñ us ne
mujhe tanḳhvāh-e-be-dīnār par rakkhā huā thā
ḳhat-e-taqdīr ke saffāk o afsurda sire par
mirā aañsū bhī dast-e-yār par rakkhā huā thā
falak ne us ko paalā thā baḌe nāz-o-ni.am se
sitāra jo tire ruḳhsār par rakkhā huā thā
vahī to zinda bach ke aa.e haiñ terī galī se
jinhoñ ne sar tirī talvār par rakkhā huā thā
vo sub.h o shaam miTTī ke qasīde bhī sunātā
aur us ne haath bhī ġhaddār par rakkhā huā thā
tire raste meñ merī donoñ āñkheñ thiiñ farozāñ
diyā to bas tire isrār par rakkhā huā thā
Top Urdushayar.com