Jamal Ehsani

sawera ho bhi chuka aur raat baqi hai

Jamal Ehsani

Sargodha, Punjab, Pakistan

1951-1998
saverā ho bhī chukā aur raat baaqī hai
zarūr dil meñ abhī koī baat baaqī hai
ye log kis qadar ārām se haiñ baiThe hue
agarche hone ko ik vārdāt baaqī hai
kuchh aur zaḳhm-e-mohabbat meñ baḌh ga.ī hai kasak
ye soch kar ki abhī to hayāt baaqī hai
ye ġham judā hai bahut jald-bāz the ham tum
ye dukh alag hai abhī kā.enāt baaqī hai
jo merī terī mulāqāt kā sabab thā kabhī
vo lamha tere bichhaḌne ke saath baaqī hai
tamām beḌiyāñ to kaaT Daalī haiñ lekin
'jamāl' qaid-e-nafs se najāt baaqī hai
Top Urdushayar.com