Khamosh Ghazipuri

umr jalwon mein basar ho ye zaruri to nahin

Khamosh Ghazipuri

umr jalvoñ meñ basar ho ye zarūrī to nahīñ
har shab-e-ġham kī sahar ho ye zarūrī to nahīñ
chashm-e-sāqī se piyo yā lab-e-sāġhar se piyo
be-ḳhudī āThoñ pahar ho ye zarūrī to nahīñ
niiñd to dard ke bistar pe bhī aa saktī hai
un kī āġhosh meñ sar ho ye zarūrī to nahīñ
shaiḳh kartā to hai masjid meñ ḳhudā ko sajde
us ke sajdoñ meñ asar ho ye zarūrī to nahīñ
sab kī nazroñ meñ ho saaqī ye zarūrī hai magar
sab pe saaqī kī nazar ho ye zarūrī to nahīñ
Top Urdushayar.com