Kaif Ahmed Siddiqui

sard jazbe bujhe bujhe chehre

Kaif Ahmed Siddiqui

Sitapur, Uttar pradesh, India

1943
sard jazbe bujhe bujhe chehre
jism zinda haiñ mar ga.e chehre
aaj ke daur kī alāmat haiñ
falsafī zehn sochte chehre
sail-e-ġham se bhī saaf ho na sake
gard-ālūd malgaje chehre
yaḳh-zada soch ke darīchoñ meñ
kis ne dekhe haiñ kāñpte chehre
ik baras bhī abhī nahīñ guzrā
kitnī jaldī badal ga.e chehre
maiñ ne aksar ḳhud apne chehre par
dūsroñ ke sajā liye chehre
vo to nikle bahut hī bad-sūrat
'kaif' dekhe the jo saje chehre
Top Urdushayar.com