Kaif Ahmed Siddiqui

kya jaane kitne hi rangon mein Dubi hai

Kaif Ahmed Siddiqui

Sitapur, Uttar pradesh, India

1943
kyā jaane kitne hī rañgoñ meñ Duubī hai
rañg badaltī duniyā meñ jo yak-rañgī hai
manzar manzar Dhaltā jaatā hai pīlā-pan
chehra chehra sabz udāsī phail rahī hai
piilī sāñseñ bhūrī āñkheñ surḳh nigāheñ
unnābī ehsās tabī.at tārīḳhī hai
dekh gulābī sannāToñ meñ rahne vaale
āvāzoñ kī ḳhāmoshī kitnī kaalī hai
aaj safedī bhī kaalā malbūs pahan kar
apnī chamaktī rañgat kā mātam kartī hai
saarī ḳhabroñ meñ jaise ik zahr bharā hai
aaj aḳhbāroñ kī har surḳhī niilī hai
'kaif' kahāñ tak tum ḳhud ko be-dāġh rakhkhoge
ab to saarī duniyā ke muñh par syāhī hai
Top Urdushayar.com