dariyā kī mauj hī meñ nahīñ iztirāb hai
sañg-e-ravāñ ke dil meñ bhī ik zaḳhm-e-āb hai
har fard aaj TūTte lamhoñ ke shor meñ
asr-e-ravāñ kī jāgtī ā.ankhoñ kā ḳhvāb hai
vo ḳhud hī apnī aag meñ jal kar fanā huā
jis saa.e kī talāsh meñ ye āftāb hai
ab koī nisf daam pe bhī pūchhtā nahīñ
ye zindagī nisāb se ḳhārij kitāb hai
palkoñ pe aaj niiñd kī kircheñ bikhar ga.iiñ
shīshe kī aañkh meñ koī patthar kā ḳhvāb hai
ai 'kaif' nā-qadoñ ke ta.assub ke bāvajūd
merā har ek sher adab kī kitāb hai