Kaif Ahmed Siddiqui

sare din dasht-e-tajassus mein bhaTak kar so gaya

Kaif Ahmed Siddiqui

Sitapur, Uttar pradesh, India

1943

saare din dasht-e-tajassus meñ bhaTak kar so gayā

shaam āġhosh meñ sūraj bhī thak kar so gayā

āḳhir-e-shab maiñ bhī khā kar ḳhvāb-āvar goliyāñ

chand lamhe nashsha-e-ġham se bahak kar so gayā

ye sukūt-e-shām ye hañgāma-e-zehn-e-bashar

ruuh hai bedār lekin jism thak kar so gayā

āḳhir is daur-e-pur-āshob har aadmī

ḳhvāb-e-mustaqbil ke jañgal meñ bhaTak kar so gayā

chand din gulshan meñ naġhmāt-e-masarrat chheḌ kar

shāḳh-e-ġham par ruuh panchhī chahak kar so gayā

āḳhirash saare chaman ko de ke husn-e-zindagī

maut ke bistar pe har ġhuncha mahak kar so gayā

zindagī bhar ab añdherī raat meñ hai jāgnā

ab to qismat sitāra bhī chamak kar so gayā

paikar-e-alfāz meñ ik aag dahkātā huā

kāġhzī sahrā meñ ik sho.ala bhaḌak kar so gayā

'kaif' yuuñ āġhosh-e-fan meñ zehn ko niiñd aa ga.ī

jaise maañ god meñ bachcha sisak kar so gayā

Top Urdushayar.com