mujhe naql par bhī itnā agar iḳhtiyār hotā
kabhī fail imtihāñ meñ na maiñ baar baar hotā
jo maiñ fail ho gayā to sabhī de rahe haiñ ta.ane
koī dil-navāz hotā koī ġham-gusār hotā
mujhe aaj itnī nafrat se na dekhtī ye duniyā
jo paḌhā.ī se zarā bhī mire dil ko pyaar hotā
mire master na hote jo ulūm-o-fan meñ daanā
kabhī maulā-baḳhsh-sāhab kā na maiñ shikār hotā
vo paḌhāte vaqt darje meñ hazār baar barse
jo mujhe bhī chhī.k aatī unheñ nāgavār hotā
na maiñ tandurust hotā na kabhī schōl jaatā
kabhī sar meñ dard rahtā to kabhī buḳhār hotā
kabhī madrase meñ aatā koī aisā chaaT vaalā
ki jo muft meñ khilātā na kabhī udhār hotā
ye gadhā jo apnī ġhaflat se hai bevaqūf itnā
jo ye ḳhud ko jaan jaatā baḌā hoshiyār hotā
tire ghar meñ 'kaif' terā koī qadr-dāñ nahīñ hai
jo vatan se duur hotā to baḌā vaqār hotā