Kaif Ahmed Siddiqui

mujhko talim se nafrat hi sahi

Kaif Ahmed Siddiqui

Sitapur, Uttar pradesh, India

1943
mujh ko ta.alīm se nafrat hī sahī
aur kheloñ se mohabbat hī sahī
maiñ ne is se to baḌe kaam liye
aap ko khel se vahshat hī sahī
imtihāñ se maiñ nahīñ ghabrātā
fail honā mirī qismat hī sahī
paḌhne vāloñ ne bhī kyā kuchh na kiyā
naql karnā mirī aadat hī sahī
maiñ ne to sirf guzārish kī thī
sab kī nazroñ meñ shikāyat hī sahī
maiñ kisī se na laḌūñgā hargiz
dab ke rahnā mirī fitrat hī sahī
maiñ na chhoḌūñgā sharāfat kā chalan
ye sharāfat mirī zillat hī sahī
kabhī chūmegī qadam ḳhud manzil
aaj har gaam pe diqqat hī sahī
ye musībat bhī baḌī dilkash hai
zindagī ek musībat hī sahī
'kaif' ik din ye banā degī tujhe
sher-goī tirī aadat hī sahī
Top Urdushayar.com