ham aaj kuchh hasīn sarāboñ meñ kho ga.e
āñkheñ khulīñ to jāgte ḳhvāboñ meñ kho ga.e
ham saf.ha-e-hayāt se jab be-nishāñ hue
lafzoñ kī ruuh ban ke kitāboñ meñ kho ga.e
ā.īna-e-bahār ke kuchh aks-e-muzmahil
ḳhushbū kā rañg pā ke gulāboñ meñ kho ga.e
dar-asl barshgāl ke tum āftāb the
barsāt jab huī to sahāboñ meñ kho ga.e
nikle the jo bhī aaj talāsh-e-savāb meñ
vo zindagī ke saḳht azāboñ meñ kho ga.e
dil ko thī ek shahr-e-tamannā kī justujū
lekin ham aarzū ke ḳharāboñ meñ kho ga.e
jab mas.ala hayāt kā kuchh hal na ho sakā
ham 'kaif' falsafe kī kitāboñ meñ kho ga.e