ik saañp mujh ko chuum ke tiryāq de gayā
lekin vo apne saath mirā zahr le gayā
akasr badan kī qaid se āzād ho ke bhī
apnā hī aks duur se maiñ dekhne gayā
duniyā kā har libās pahanñā paḌā use
ik shaḳhs jab nikal ke mire jism se gayā
aisī jagah ki maut bhī Dar jaa.e dekh kar
maiñ ḳhud ko zindagī se bahut duur le gayā
mahsūs ho rahā hai ki maiñ ḳhud safar meñ huuñ
jis din se rail par maiñ tujhe chhoḌne gayā
kitnī subuk sī aaj mire ghar kī shaam thī
maiñ filoñ kā bojh uThā.e hue gayā
ash.ār kā nuzūl hai ḳhālī dimāġh meñ
ai 'kaif' tū na jaane kahāñ chhoḌne gayā