Kaif Ahmed Siddiqui

KHatm chhuTTi madrase ka dar khula

Kaif Ahmed Siddiqui

Sitapur, Uttar pradesh, India

1943
ḳhatm chhuTTī madrase kā dar khulā
aql-o-dānish ilm-o-fan kā ghar khulā
phir vahī schōl kī sar-garmiyāñ
phir vahī ta.alīm kā daftar khulā
merī ta.alīmī liyāqat kā bharam
imtihāñ ke baad hī aksar khulā
master sāhab ke ġhusse kā sabab
be-ḳhatā ma.asūm bachchoñ par khulā
merī āñkheñ niiñd se bojhal huiiñ
jab nazar aayā koī bistar khulā
chāñd tāroñ ko hañsī aane lagī
merā basta jab khulī chhat par khulā
jī meñ aatā hai lagā.ūñ ik chapat
dekhtā huuñ jab kisī kā sar khulā
'kaif' merī naak meñ dam aa gayā
jab kabhī mujh se koī teacher khulā
Top Urdushayar.com