niklī jo aaj tak na kisī kī zabān se
Takrā rahī hai baat vahī mere kaan se
sotā rahā maiñ ḳhauf kī chādar lapeT kar
aaseb chīḳhte rahe ḳhālī makān se
akasr maiñ ek zahr bujhe tiir kī tarah
niklā huuñ hādsāt kī tirchhī kamān se
phailā huā hai hadd-e-nazar tak sukūt-e-marg
āvāz de rahā hai koī āsamān se
tanhā.iyoñ ko sauñp ke tārīkiyoñ kā zahr
rātoñ ko bhaag aa.e ham apne makān se
mumkin hai ḳhuub khul ke ho guft-o-shunīd aaj
vo bhī ḳhafā hai ham bhī haiñ kuchh bad-gumān se
ai 'kaif' jin ko buġhz na.ī shā.erī se hai
vo bhī tire kalām ko paḌhte haiñ dhyān se