duniyā meñ kuchh apne haiñ kuchh begāne alfāz
kis ko itnī fursat hai jo pahchāne alfāz
reg-e-alāmat meñ bhī jal kar pā na sake mafhūm
sahrā-e-ma.anī meñ bhī bhaTke anjāne alfāz
dasht-e-azal se dasht-e-abad tak chhān chukā meñ ḳhaak
aur kahāñ le jā.eñge ab bhaTkāne alfāz
be-ma.anī māhaul meñ rah kar zehn huā mā.ūf
mujh ko bhī pāgal kar deñge dīvāne alfāz
aksar aadhī raat meñ le kar kuchh pathrīle ḳhvāb
shīsha-e-zehn se aa jaate haiñ Takrāne alfāz
sher-o-suḳhan ke mai-ḳhāne kā maiñ huuñ ik mai-ḳhvār
mere liye baada hai taḳhayyul paimāne alfāz
'kaif' kabhī ik sher meñ Dhalnā hotā hai dushvār
aur kabhī ḳhud ban jaate haiñ afsāne alfāz