Rahat Sarhadi

bana ke talKH haqaeq se par nikalti hai

Rahat Sarhadi

banā ke talḳh haqā.eq se par nikaltī hai

chaTān meñ bhī agar ho ḳhabar nikaltī hai

mirī taraf se ijāzat hai dekh lo ḳhud

kahīñ judā.ī sūrat agar nikaltī hai

vo tīrgī hai ki ḳhud raah DhūñDne ke liye

charāġh haath meñ le kar sahar nikaltī hai

ġhurūr itnā bhī kyā apnī shaan shaukat par

ye ḳhush-gumānī to kaTvā ke sar nikaltī hai

mire ḳhayāl meñ tasḳhīr-e-shash-jihat ke liye

tirī galī se kahīñ rahguzar nikaltī hai

na raat suntī hai 'rāhat' fuġhān-e-said yahāñ

na dhuup dekh ke zarf-e-shajar nikaltī hai

Top Urdushayar.com