muqayyad zaat ke andar nahīñ maiñ
charāġh-e-gumbad-e-be-dar nahīñ meñ
mujhe bhī rāsta de bahr-e-ḳhilqat
kisī fir.aun kā lashkar nahīñ maiñ
tū sustāne ko Thahrā hai yaqīnan
tirī parvāz kā mehvar nahīñ maiñ
rahe kaise musalsal ek mausam
kisī tasvīr kā manzar nahīñ maiñ
tū jab chāhe mujhe tasḳhīr kar le
tire imkān se bāhar nahīñ maiñ
vo phir aayā hai 'rāhat' sulh karne
koī kah de use ghar par nahīñ maiñ