Rahat Sarhadi

butan-e-KHisht-o-sang se kalam kar ke aa gaya

Rahat Sarhadi

butān-e-ḳhisht-o-sañg se kalām kar ke aa gayā
ki maiñ tumhāre shahr meñ bhī shaam kar ke aa gayā
vahāñ kisī ko yaad bhī nahīñ thā merā naam tak
jahāñ maiñ apnī zindagī tamām kar ke aa gayā
galī meñ kheltā huā milā thā apnā bachpanā
jise maiñ hasratoñ bharā salām kar ke aa gayā
tumhārā naam phir kured kar udaas peḌ par
ḳhizāñ meñ fasl-e-gul kā ehtimām kar ke aa gayā
takallufāt meñ guzar ga.ī hayāt-e-sarhadī
ki jaise ajnabī ke ghar qayām kar ke aa gayā
Top Urdushayar.com