go duur ho chukā huuñ yārān-e-anjuman se
lekin mafar nahīñ hai ehsās kī chubhan se
husn-e-nazar kā jaadū sar chaḌh ke boltā hai
asnām-e-marmarīñ bhī lagte haiñ sīm-tan se
ġhuncha hī phuul ban kar jān-e-chaman huā hai
maiñ ne yaqīñ kī daulat paa.ī hai husn-e-zan se
aaj un ke rāstoñ meñ kāñTe bichhe hue haiñ
kal tak jo khelte the rañgīnī-e-chaman se
jaise chaman se nik.hat jaise sadaf se motī
aise judā huā huuñ maiñ jannat-e-vatan se
maiñ rāz-e-rañg-o-bū se nā-āshnā nahīñ huuñ
mujh ko gila bhī kab hai phūloñ kī anjuman se
merī ġhazal 'urūj' ik tasvīr-e-asr-e-nau hai
maiñ ne use sañvārā tahzīb-e-fikr-o-fan se