mujh ko majbūr-e-sar-kashī kahiye
aap añdhere ko raushnī kahiye
un se bachhḌā to is azaab meñ huuñ
maut kahiye ki zindagī kahiye
sar-e-sāhil bhī log pyāse haiñ
is ko āshob-e-tishnagī kahiye
kyuuñ tajāhul ko ārifāna kahūñ
mere chehre ko ajnabī kahiye
chaar din kī hai chāñdnī lekin
chāñdnī hai to chāñdnī kahiye
maut bhī zindagī kā ik ruḳh hai
is ko me.ār-e-āgahī kahiye
ġham se ham be-mazā nahīñ hote
lazzat-e-ġham ko chāshnī kahiye
mujh ko baḳhshī hai
dost kī banda-parvarī kahiye
jaltā-bujhtā ye kirmak-e-shab-tāb
us ko pur-kār-e-sādgī kahiye
mujh ko muḌ muḌ ke dekhne vaale
kyā ise tarz-e-be-ruḳhī kahiye
dhuup meñ saath saath saaya hai
raushnī meñ bhī tīrgī kahiye
rahbarī bhī hai ham-rakāb-e-urūj
us ko faizān-e-ḳhud-ravī kahiye