taklīf-e-iltifāt-e-gurezāñ kabhī kabhī
yuuñ bhī huī hai pursish-e-pinhāñ kabhī kabhī
merāj-e-dīd jalva-e-jānāñ kabhī kabhī
ham bhī rahe haiñ nāzish-e-daurāñ kabhī kabhī
ye aur baat rabt-e-musalsal na kah sakeñ
chūmā hai ham ne dāman-e-jānāñ kabhī kabhī
naqsh-e-ḳhayāl aap kī tasvīr ban gayā
ye mo.ajiza huā hai numāyāñ kabhī kabhī
bandī-navāzī-e-karam-e-gāh gaah se
ham bhī the kā.ināt-badāmāñ kabhī kabhī
laġhzish kī baat virsa-e-ādam kī baat hai
khātā hai Thokareñ dil-e-insāñ kabhī kabhī
karvaT badal ga.ī hai tirī vaza-e-iltifāt
dekhā hai ye bhī ḳhvāb-e-pareshāñ kabhī kabhī
ye sar-kashī ke naam se mansūb hī sahī
hotā hai dil bhī sar-ba-garebāñ kabhī kabhī
aksar nashāt-e-sair-e-gulistān-e-be-ḳhizāñ
andāza-e-fareb-e-bahārāñ kabhī kabhī
mere laboñ pe mauj-e-tabassum ke bāvajūd
ġham ho gayā hai ruḳh se numāyāñ kabhī kabhī
kahnā paḌā hai jalva-e-sad-rang rokiye
nazreñ huī haiñ itnī pareshāñ kabhī kabhī
ḳhud apne ās-pās añdheroñ ko dekh kar
ghabrā uThī hai sub.h-e-bahārāñ kabhī kabhī
dāman bachā ke ham to guzar jaa.eñ ai 'urūj'
ḳhud chheḌtī hai gardish-e-daurāñ kabhī kabhī