ḳhvāb kā aks kahāñ ḳhvāb kī ta.abīr meñ hai
mujh ko ma.alūm hai jo kuchh mirī taqdīr meñ hai
merī rūdād-e-mohabbat ko na sunñe vaale
tujh meñ vo baat kahāñ jo tirī tasvīr meñ hai
paikar-e-ḳhāk bhī huuñ bā.is-e-kaunain bhī huuñ
kitnā ījāz numāyāñ mirī tafsīr meñ hai
phuul ban kar bhī ye ehsās shagūfe ko nahīñ
merī taḳhrīb kā pahlū mirī ta.amīr meñ hai
husn ke saath tujhe husn-e-vafā bhī miltā
isī halqe kī zarūrat tirī zanjīr meñ hai
vus.at-e-dāman-e-rahmat kī qasam khātā huuñ
uzr-e-taqsīr bhī dāḳhil-e-had-e-taqsīr meñ hai
ek tahdār ye misra.a hai javāb-e-ḳhat meñ
kis qadar shoḳh-bayānī tirī tahrīr meñ hai
kyā tamāshā hai ye ai pā-e-junūn-e-rusvā
kabhī zanjīr se bāhar kabhī zanjīr meñ hai
jaane kab us pe ujāle ko taras aa.egā
vo siyah-posh fazā jo mirī taqdīr meñ hai
guftugū hotī hai aksar shab-e-tanhā.ī meñ
ek ḳhāmosh takallum tirī tasvīr meñ hai
merī nazroñ meñ yahī husn-e-taġhazzul hai 'urūj'
sher-goī kā mazā pairvī-e-'mīr' meñ hai