dil ne Thokar khā ke samjhā hadisā kyā chiiz hai
ġham kise kahte haiñ dard-e-lā-davā kyā chiiz hai
mahv-e-hairat huuñ ye duniyā se judā kyā chiiz hai
aap kā paiġhām be-harf-o-sadā kyā chiiz hai
is ke ma.anī ḳhud-pasandī ke sivā kuchh bhī nahīñ
dil meñ paiham ḳhvāhish-e-dād-e-vafā kyā chiiz hai
ab añdherā hī añdherā hai ufuq-tā-ba-ufuq
is haqīqat meñ ḳhilāf-e-mājrā kyā chiiz hai
kufr hai ye sochnā bhī kārobār-e-ishq meñ
mudda.ā kyā shai hai tark-e-mudda.ā kyā chiiz hai
sar hai zeb-e-dār lekin lab tabassum-āshnā
haq-navā.ī par maiñ ḳhush huuñ ye sazā kyā chiiz hai
kār-ārā.ī-e-sa.ī-e-shauq hai pesh-e-nazar
varna socho jumbish-e-parda-kushā kyā chiiz hai
ham razā-e-dost meñ raazī haiñ ye sach hai to phir
dekhnā hogā ki dastūr-e-duā kyā chiiz hai
rafta rafta tum pe sab kuchh aa.ina ho jā.egā
kyā batā.ūñ sa.ī-e-tark-e-mudda.ā kyā chiiz hai
jalva-gāh-e-nāz se uThnā koī āsāñ nahīñ
pahle ye dekho yahāñ zanjīr-e-pā kyā chiiz hai
jin kī fitrat nā-shanās-e-zauq-e-mohkam hai 'urūj'
maiñ unheñ ye kaise samjhā.ūñ vafā kyā chiiz hai