Urooj Zaidi Badayuni

ehtimam-e-rang-o-bu se gulistan paida karen

Urooj Zaidi Badayuni

Meerut, Uttar pradesh, India

1912-1987
ehtimām-e-rañg-o-bū se gulistāñ paidā kareñ
aao mil-jul kar bahār-e-be-ḳhizāñ paidā kareñ
kyuuñ sukūt-e-be-mahal se dāstāñ paidā kareñ
dīda-o-dānista apne rāzdāñ paidā kareñ
raas aa saktā hai mīr-e-kārvāñ banñe kā ḳhvāb
shart ye hai pahle apnā kārvāñ paidā kareñ
kār-ārā.ī to ḳhud hai hāsil-e-takmīl-e-kār
dil meñ kyā andesha-e-sūd-o-ziyāñ paidā kareñ
apnā e'ajāz-e-tasavvur dekhne kī chiiz hai
ham jo chāheñ to makāñ meñ lā-makāñ paidā kareñ
vaqt ko zid hī badal do rasm-e-arz-e-mudda.ā
dil ye kahtā hai ki hañgāma kahāñ paidā kareñ
aap kī marzī kā hai pāband-e-rañg-e-gulistāñ
aap chāheñ to bahār-e-jāvedāñ paidā kareñ
ruuh par haavī na ho jaa.e fazā-e-sogvār
ham ġham-e-dil se nishāt-e-jāvedāñ paidā kareñ
koshish-e-tāmīr kī taḳhrīb-sāmān.ī na pūchh
āshiyāñ-bardār shāḳheñ bijliyāñ paidā kareñ
haañ sikhā deñ rañg-e-ruḳh ko ā.ina-dārī kā fan
bahr-e-arz-e-mudda.ā ham tarjumāñ paidā kareñ
phir bulātā tuuñ ke ye tevar kahāñ baaqī 'urūj'
hāl-e-dil kah kar javāb-e-darmiyāñ paidā kareñ
Top Urdushayar.com